Chhod babul kaa ghar, mohe pi ke nagar
Aaj jana pada, o aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar, mohe pi ke nagar
Aaj jana pada
Sang sakhiyo ke bachapan bitati thi mai, ha bitati thi mai
Byah gudiyo kaa hans hans rachati thi mai, ha rachati thi mai
Sab se munh mod kar, kya batau kidhar
Dil lagana pada, o aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar, mohe pi ke nagar
Aaj jana pada
Yad maike ki dil se bhulaye chali, ha bhulaye chali
Prit sajan ki man me basaye chali, ha basaye chali
Yad kar ke yeh ghar, royi aankhe magar
Muskurana pada o aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar, mohe pi ke nagar
Aaj jana pada
Pehan ulfatka gehna dulhan me bani ha dulhan me bani
Dulha aaya piyaka sakhi me chali ha sakhi me chali
Ye tha jutha nagar isliye chodkar mohe jana pada
O aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar, mohe pi ke nagar
Aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar, mohe pi ke nagar
Aaj jana pada..