Isi jagha is khandar me ha is ujde virane me
Kahte hai milte the do deewane kisi zamane me
Ek tha banjara, ek thi shehajadi
Ek tha banjara, ek thi shehajadi
Un dono ki prem kahani,
Un dono ki prem kahani kahti hai ye wadi
Ek tha banjara, ek thi shehajadi
Kaise unka mail huya kismat ka ye khel huya
Ek dafa wo banjara mahal ke raste se gujra
Gana banjaro ki rit usne chheda koi git
Jab uski aawaz sune tadap uthi bas shehjadi
Usne hukam diya hajir ho,
Usne hukam diya hajir ho kon hai ye fariyadi
Ek tha banjara, ek thi shehajadi
Shehjadi ka sunkar naam banjare ne kiya salam
Ulfat kar gayi apna kam dil ne dil ko diya paiyam
Sach kahte hai sare log bahut bura hai prem ka rog
Ye jisko lag jata hai chain use kab aata hai
Banjare ne shehjadi ke,
Banjare ne shehjadi ke dil me aag laga di
Ek tha banjara, ek thi shehajadi
O hire moti lekar sath shehjadi aayi ek rat
Kehne lagi mai hu taiyar chhod diya maine ghar bar
Banjare ne kaha nahi hire moti phenko yahi
Pyar me jina marna hai daulat ko kya karna hai
Pyar ne pal me duniya ki,
Pyar ne pal me duniya ki unchi diwar gira di
Ek tha banjara, ek thi shehajadi
Un dono ki prem kahani kahti hai ye wadi
Ek tha banjara, ek thi shehajadi..
Baat Ban Jaye |
Ek Tha Banjara |
Mera Roop Rang |
Mere Dil Mein Hai |