Kyaa Mil Gayaa Bhagwaan from Anmol Ghadi Movie (Naushad Ali)

Kyaa mil gayaa bhagwaan
Kyaa mil gayaa bhagwaan
Tumhen dil ko dukhaake
Armaaon ki nagri mein meri aag lagaake
Kyaa mil gayaa bhagwaan
Kyaa mil gayaa bhagwaan
Tumhen dil ko dukhaake
Armaaon ki nagri mein meri aag lagaake

Ham soch rahe the
Kabhi dil dil se milenge
Jeewan mein mohabbat
Ke kabhi phool khilenge
Ye kyaa thi khabar tum
Ko naa aayegi dayaa bhi
Rakh doge kisi din
Meri duniyaa ko mitaake
Armaaon ki nagri mein
Meri aag lagaake
Kyaa mil gayaa bhagwaan

Aakaash hi dushman nahin
Dushman hai zameen bhi
Dukh dard ke maare ko nahin
Chain kahin bhi
Chain kahin bhi
Is jeene se ab maut hi
Aajaaye to achchhaa
Jab chhoot gayaa haath
Unkaa mere haathon mein aake
Armaanon ki nagri mein meri aag lagaake
Kyaa mil gayaa bhagwaan

Maaloom na thaa
Khaaq mein mil jaayenge ek dil
Khud apni hi ham aag mein
Jal jaayenge ek dil
Tumse to ye ummeed
Na thi jal ke khewaiyyaa
Naiyyaa ko dubo doge
Kinaare pe hi laake
Armaanon ki nagri mein
Meri aag lagaake
Kyaa mil gayaa bhagwaan
Kyaa mil gayaa bhagwaan
Tumhen dil ko dukhaake
Armaanon ki nagri mein
Meri aag lagaake..

Song Details
Movie
Anmol Ghadi
Artist
Naushad Ali
Music Directory
Naushad Ali
Music Label
Saregama
Singers
Noor Jehan
Lyricist
Tanvir Naqvi

Other Lyrics from Anmol Ghadi

Aaja Meri Barbaad Muhabbat
Aawaaz De Kahaan Hai
Ab Kaun Hai Meraa
Jawaan Hai Muhabbat
Kyaa Mil Gayaa Bhagwaan
Kyun Yaad Aa Rahe Hain
Man Letaa Hai Angdaayi
Mere Bachpan Ke Saathi
Sochaa Thaa Kyaa Kyaa
Tera Khilaunaa Tootaa
Udan Khatole Pe Ud Jaaun

Other popular Lyrics by Naushad Ali

Aayi Re Holi Aayi (Aawaz De Kahan Hai)
Bhole Bhaale Se (Aawaz De Kahan Hai)
Suhani Raat Dhal Chuki (Dulari)
Takra Gaya Tumse Dil Hee To Hai (Aan)
Aaja Meri Barbaad Muhabbat (Anmol Ghadi)
Aaya Mere Dil Mein Tu (Dastan)
Ab Kaun Hai Meraa (Anmol Ghadi)
Dil Mein Chhupake Pyar Ka (Aan)
Gham Diye Mustaqil (Shahjehan)
Hum Dard Ka Afsana (Dard)