Zindagi Kya Hai Ik Lateefa Hai from Amrit Movie (Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal))

Som, mangal, budh, veer, sukar, sani, itvaar
Sath dino me hasana chahiye
Kam se kam sath sau bar
Acha dada ha aa, to bacho

Zindagi kya hai ik lateefa hai
Zindagi kya hai ik lateefa hai
Jeene ka bas yahi tarika hai

Zindagi kya hai ik lateefa hai
Zindagi kya hai ik lateefa hai
Jeene ka bas yahi tarika hai

Bolo bolo bolo ek latifa suno

Ek bahara, ek anda, ek langda aur bhikari
Jangal me ja rahe the
Chalte chalte bahre ne kha
Are doste rukh jao jara mujhe choro ke
Aane ki aawaj sunayi de rahi hai
To andhe ne kaha tujhe
Aawaj sunayi de rahi hai
Mujhe to mujhe to
Chor dhikhayi de rahe hai
To langda bola chalo chalo
Bagh chalte hai
To bhikari bolo are jaldi chalo
Nahi to mai luth jaunge

Zindagi kya hai ik lateefa hai
Jeene ka bas yahi tarika hai
Dug dugi baaje dham dham dham
Nach bandriya ham cham cham
Zindagi kya hai ik lateefa hai
Zindagi kya hai ik lateefa hai
Jeene ka bas yahin tarika hai

Bolo bolo bolo ek latifa suno

Ek miyaa bibi aathvi manjil pe rahate the
Miya daftar jane ke liye ghar se nikala
Niche sadak pe aake use yaad aaya
Are mera batua to upar rah gaya
Begum, ari begum
Mera batua niche fekiye
Begum ne kaha kya kaha
Jor se boliye huzur mujhe khuchh
Sunayi nahi de raha
Miya ke gale me durbin latki thi
Use dhur ki shuji
Usne fauran durbin aanko pe lagayi
Aur apni begum ka nurani chehra
Apne chehre ke pas laker kaha
Begum mera batua niche fekh dijiye

Zindagi kya hai ik lateefa hai
Jeene ka bas yahi tarika hai
Zindagi kya hai ik lateefa hai
Jeene ka bas yahi tarika hai
Bolo bolo bolo ek latifa suno

Ek aadmi halwayi ki dukan pe gaya
Usne rupiya faika aur kaha
Oye mundiya ek taji aur mitti lassi bana
Dukandhar ne kaha abhi lo badsah
Laasi pite hi us aadmi ko gussa aa gaya
Usne dukandhar se kaha
Tum basi aur khati lassi pila kar
Garahko ko luthte ho
Dukandhar ne kaha huzur gustakhi maaf
Paise lena mera kaam hai
Dena mera kam nahi
Us aadmi ne kha,kaha hai dukan ka malik
Huzur vo pas wali dukan me lasi pine gaya hai

Zindagi kya hai ik lateefa hai
Zindagi kya hai ik lateefa hai
Jeene ka bas yahi tarika hai.....

Song Details
Movie
Amrit
Artist
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)
Music Directory
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Music Label
Saregama
Singers
Kishore Kumar
Lyricist
Anand Bakshi

Other Lyrics from Amrit

Duniya Mein Kitna Gham Hai
Jeevan Sathi Saath Mein Rahna
Sharafat Ali Ko Sharafat Ne Mara
Zindagi Kya Hai Ik Lateefa Hai

Other popular Lyrics by Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)

Dariya Mein Phenk Do Chabi (Aas Paas)
Duniya Se Duniya walo Se (Baghavat)
Jeevan Sathi Saath Mein Rahna (Amrit)
Mere Seene Se Lag Ja (Bhrashtachar)
I Am Krishnan Iyer (Agneepath)
Zindagi Kya Hai Ik Lateefa Hai (Amrit)
Mata Kaun Pita Koun (Benaam Badsha)
Nagin Sa Roop Hai Tera (Baghavat)
Qaraar Khoya Ke Jaan (Anjaana)
Main Aaya Hoon (Amir Garib)