Ae khuda yeh bata, aisa hota hai kyun
Har kadam jindagi ek dhoka hai kyun
Ae khuda yeh bata, aisa hota hai kyun
Har kadam jindagi ek dhoka hai kyun
Ae khuda yeh bata, aisa hota hai kyun
Dur tak dhund hi dhund aaye najar
Dhund aise ki gum ho gayi rehgujar
Ek dil de diya uljhane is kadar
Kitana mushkil raha jindagi ka safar
Jindagi ka safar, jindagi ka safar
Ae khuda yeh bata, aisa hota hai kyun
Har kadam jindagi ek dhoka hai kyun
Ae khuda yeh bata, aisa hota hai kyun
Aise chaah pakad mein fasaaya hi tha
Jise apna kaha woh paraaya hi tha
Tune aankhon ko sapane diye kyun bata
Maine sapane sajaaye meri kya khata
Meri kya khata, meri kya khata
Ae khuda yeh bata, aisa hota hai kyun
Har kadam jindagi ek dhoka hai kyun
Ae khuda yeh bata, aisa hota hai kyun
Jindagi ban gayi dard ki daastaan
Badguma ho gaye yeh jamin aasmaan
Hai ajab char su ghum ki parchhayiya
Tu hi batala ke abb jaau bhi toh kahaan
Jaau bhi toh kahaan, jaau bhi toh kahaan
Ae khuda yeh bata, aisa hota hai kyun
Har kadam jindagi ek dhoka hai kyun
Ae khuda yeh bata, aisa hota hai kyun
Mere haathon se kyun dhup ke saaye ghane
Behaki raaton na aaya koi thamane
Rahpar kyun lage raah mein lutane
Dubate waqt saahil raha saamane
Raha saamane, raha saamane
Ae khuda yeh bata, aisa hota hai kyun
Har kadam jindagi ek dhoka hai kyun
Ae khuda yeh bata, aisa hota hai kyun
Har kadam jindagi ek dhoka hai kyun
Ae khuda yeh bata, aisa hota hai kyun...
Ae Khuda Yeh Bata |
Faasla Rahe Na Aaj |
Jhil Mil Jhil Mil |
Kaun Kisko Janta Hai |
Mausam Ka Taqaaza Hai |
Tumne Mujhko Pyar Se |
Zindagi Waqt Ka Aaina Hai |