Jeenaa hai kis liye jeevan hai is liye
Zindaadili se kyun na ham jiyein
Jeenaa hai kis liye jeevan hai is liye
Zindaadili se kyun na ham jiyein
Rishte hain kis liye samajhte hain is liye
Jeenaa bhi varnaa aur hai kis liye
Ye khizaan aur vo bahaar do ghadi ke hain khumaar
Badalnaa hi to qudrat mein qaayam kaa rahaa kirdaar
Ye khizaan aur vo bahaar do ghadi ke hain khumaar
Badalnaa hi to qudrat mein qaayam kaa rahaa kirdaar
Badleinge kis liye sanvreinge is liye
Badal ke hans diye to jee liye
Jeenaa hai kis liye jeevan hai is liye
Zindaadili se kyun na ham jiyein
Aansoo ke jo dhaare hain ye gham ke sharaare hain
Jo unko ponchh de bas vo hi to tumhaare hain
Aansoo ke jo dhaare hain ye gham ke sharaare hain
Jo unko ponchh de bas vo hi to tumhaare hain
Aansoo hai kis liye sar dard is liye
Muskaan se aansoo bhi dho liye
Jeenaa hai kis liye jeevan hai is liye
Zindaadili se kyun na ham jiyein
Rishte hain kis liye samajhte hain is liye
Jeenaa bhi varnaa aur hai kis liye..
Aetbaar |
Chhodo Chhodo |
Jeena Hai Kis Liye |
Na Nazron Ka |
Saansein Ghulne Lageen |
Tum Mujhe Bas Yun Hi |