Tum Roothi Raho Mai Manata Rahu from Aas Ka Panchhi Movie (Various Artists)

Tum roothi raho
Main manaataa rahoon
Tum roothi raho
Main manaataa rahoon
Ki in adaaon pe aur pyaar aataa hai
In adaaon pe aur pyaar aataa hai
Thode shiqwe bhi hon
Kuchh shikaayat bhi ho
Thode shiqwe bhi hon
Kuchh shikaayat bhi ho
To mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai
Mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai

Haay dil ko churaakar le gayaa
Munh chhupaa lenaa hamse wo aapkaa
Munh chhupaa lenaa hamse wo aapkaa
Dekhnaa wo bigad kar phir hamen
Aur daanton mein ungli kaa daabnaa
Aur daanton mein ungli kaa daabnaa
O mujhe teri qasam
Yahi samaan maar gayaa
Isi jalwe pe tere
Donon jahaan haar gayaa
Tum roothi raho
Main manaataa rahoon
Ki in adaaon pe aur pyaar aataa hai
In adaaon pe aur pyaar aataa hai
Thode shiqwe bhi hon
Kuchh shikaayat bhi ho
To mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai
Mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai

Ye na samjho ki tumse door hoon
Ye na samjho ki tumse door hoon
Tere jeewan ki pyaar bhari aas hoon
Tere jeewan ki pyaar bhari aas hoon
Chaand ke sang jaise hai chaandni
Waise main bhi tere dil ke paas hoon
Waise main bhi tere dil ke paas hoon
Haay wo dil hi nahin jo na dhadaknaa jaane
Aur dildaar nahin jo na tadapnaa jaane
Aur dildaar nahin jo na tadapnaa jaane
Thode shiqwe bhi hon
Kuchh shikaayat bhi ho
To mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai
Mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai
Tum roothi raho
Main manaataa rahoon
Ki in adaaon pe aur pyaar aataa hai
In adaaon pe aur pyaar aataa hai

Chaahe koi dagar ho pyaar ki
Khatm hogi na teri-meri daastaan
Khatm hogi na teri-meri daastaan
Dil jalegaa to hogi roshni
Tere dil mein banaayaa maine aashiyaan
Tere dil mein banaayaa maine aashiyaan
O sharad poonam ki rang bhari chaandni
Meri sab kuchh meri taqdeer meri zindagi
Tum roothi raho
Main manaataa rahoon
Ki in adaaon pe aur pyaar aataa hai
In adaaon pe aur pyaar aataa hai
Thode shiqwe bhi hon
Kuchh shikaayat bhi ho
To mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai
Mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai..

Song Details
Movie
Aas Ka Panchhi
Artist
Various Artists
Music Directory
Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lyricist
Hasrat Jaipuri

Other Lyrics from Aas Ka Panchhi

Ai Dil Pyar Ki Manjil
Dhire Chalao Jara
Dil Mera Ek Aas Ka Panchhi
Haaye Meri Uljhi Nazar
Raah Ke Taalib Hain
Tum Roothi Raho Mai Manata Rahu
Zamin Kaagaz Ki

Other popular Lyrics by Various Artists

Dhak Dhak (Nautanki Saala)
Tu Hai Rab Mera (Zila Ghaziabad )
Mashallah (Ek Tha Tiger)
Arzoo (Blood Money)
Bin Tere (Chakradhar)
Jungle Hai Aadhi Raat (Biwi No. 1)
Kya Raaz Hai (Raaz 3 )
Maula (Jism 2)
Om Namo Namah Krishan (Main Krishna Hoon)
Baby Se Babydoll (Gippi)