Baba ki rani hoon aankhon ka pani hoon
Baba ki rani hoon aankhon ka pani hoon
Beh jaana hai jise do pal kahani hoon
Amma ki bitiya hoon aangan ki mitiya hoon
Amma ki bitiya hoon aangan ki mitiya hoon
Took took nihare jo pardesi chithiya hoon
Mamta ke aanchal mein
Jo geet gaaye hai
Babul ne chut put jo
Sapney sajaye hai
Woh yaad aayenge
Gup chup rulayenge
Woh yaad aayenge
Gup chup rulayenge
Doli ke sang mere jab saath jaayenge
Baba ki rani hoon aankhon ka pani hoon
Beh jaana hai jise do pal kahani hoon
Khil khil ke hasna yeh
Sakhiyon ki baaton pe
Anjaan naamo ki
Mehndi yeh haathon pe
Jab rang layegi
Rimjhim ghir aayengi
Jab rang layegi
Rimjhim ghir aayengi
Aankhen ghataon si boonde girayengi
Baba ki rani hoon aankhon ka pani hoon
Baba ki rani hoon aankhon ka pani hoon
Beh jaana hai jise do pal kahani hoon
Amma ki bitiya hoon aangan ki mitiya hoon
Amma ki bitiya hoon aangan ki mitiya hoon
Took took nihare jo pardesi chithiya hoon
Pardesi chithiya hoon
Pardesi chithiya hoon..
Aap Ko Pehle Bhi Kahin Dekha Hai |
Aisi Aankhein Dekhi |
Baba Ki Rani Hoon |
Barsaat |
Dil Gaya Kaam Se |
Ishq To Jadoo |
Kabhi Khan Khan |
Kuch Bhi Na Kaha |
Sajna Mein Haari |