Ek bar aasman ke par ki pari ne
Dharti pe kuch bacho ko buri halat me dekha
Use behad dukh huya, swarag ke ek dut ko bulakar
Usne aadesh diya
Jao jao dharti pe jao, jakar pata lago
Dharti ke kitne hi bache kyu itne dukh sah rahe hai
Jao jao dharti pe jao, jakar pata lago
Dharti ke kitne hi bache kyu itne dukh sah rahe hai
Sadiyo se kyu rat din ye is hal me rah rahe hai
Jao jao dharti pe jao, jakar pata lago
Dharti ke kitne hi bache kyu itne dukh sah rahe hai
Pata lago, jao pata lago
Swarag ki devi, bacho ko pyar karne wali pari
Dharti pe utari, uske samne pakadkar layi gayi ek
Teacher pari ne puchha, itne bhole, itne pyare
Ye masum se bache sare, sahme sahme, dare dare
Phirte kyu hai mare mare, kyu majbur hai
Kyu lachar hai, kiske julm ke ye shikar hai
Tum uske jimedar ho, apradhi guneghar ho
Tumhe iski milni chahiye, sajaye mot
Dharti ye sari kabhi ek thi, ye sara jaha ek parivar tha
Sabhi ek the, sabhi nek the, dilo mein yaha pyar hi pyar tha
Huye pada phir aise bande yaha
Jo matlab ki khatir the andhe yaha
Bane mulk phir itani kome bani,
Chidi jang badati gayi dushmani
Kyu milke in sabko nahi toka, nahi roka
Aasma se ek the jo kyu zami ko kata bata
Mai to hu teacher talim du mai, neta nahi koi raja nahi mai
Julmko roku, jalim ko toku, mujhme bhala itni takat kaha
Kya kaha tum teacher ho, lekin maine to kisi poliction ko
Pakad kar lane ko kaha tha,
Maine socha ye teacher hai, jo bolegi sach bolegi
Neta to aakhir neta hai, ab kya bole kisko pata
Kisko pata wo kab kya bole,
Kyoki poliction to poliction hai na
Teacher tum achhi ho, tum sachi ho, tum achhe kam karo
Bacho ko padao, unhe sikhalao, pyar karna, pyar karna
Ye bache hai kal ke neta, jab ho bade ye pyar se
Duniya sajaye, sabko sikhaye, pyar karna, pyar karna
Thanku superpat aap hai to phir humko kya dar yahi
Karege hum sab milkar,
Thanku superpat, thanku, bye bye, bye bye
Bache dil ke sache hai, sachayi an chhodege
Hum duniya me layege dor pyar ka, nafarat ki ye
Zanjire hum sab milkar todege,
Phir dharti pe chhayrga rang pyar ka
Phir koi julm sitam nahi hoga, hoge gam nahi
Dilo me pyar wo jagega, jo hoga kam nahi
Duniya nayi basayege, pyar ke phul khilayege
Phir dharti ho jayegi jannat se hansi..
Angoor Khilao Papa Ji |
Hum Bachche Hanste |
Hum Hain Aaj Ke Angaarey |
Jao Jao Dharti Pe Jao |
Nacho Nacho Naag Jhumke |
Panj Nadiyan De Pani Naal |