Talwaron pe sar vaar diye
Angaron mein jism jalaya hai
Tab jaake ke kahin humne sar pe
Yeh kesari rang sajaya hai
Ae meri zameen afsos nahi
Jo tere liye sau dard sahe
Mehfooz rahe teri aan sada
Chahe jaan meri yeh rahe na rahe
Ae meri zameen mehboob meri
Meri nas nas mein tera ishq bahe
Feeka na pade kabhi rang tera
Jismon se nikal ke khoon kahe
Teri mitti mein mil jawaan
Gull banke main khil jawaan
Itni si hai dil ki aarzu
Teri nadiyon mein beh jawaan
Teri kheton mein lehrawaan
Itni si hai dil ki aarzu
Sarson se bhare khalihan mere
Jahaan jhoom ke bhagda paa na saka
Aabad rahe woh gaanv mera
Jahaan laut ke wapas ja na saka
Ho watna ve, mere watna ve
Tera mera pyar nirala tha
Kurban hua teri asmat pe
Main kitna naseebon wala tha
Teri mitti mein mil jawaan
Gull banke main khil jawaan
Itni si hai dil ki aarzu
Teri nadiyon mein beh jawaan
Teri kheton mein lehrawaan
Itni si hai dil ki aarzu
Ho Heer meri tu hasti rahe
Teri ankh ghadi bhar nam na ho
Main marta tha jis mukhde pe
Kabhi uska ujala kam na ho
Ho maayi meri kya fikar tujhe
Kyun ankh se dariya behta hai
Tu kehti thi tera chaand hoon main
Aur chand hamesha rehta hai
Teri mitti mein mil jawaan
Gull banke main khil jawaan
Itni si hai dil ki aarzu
Teri nadiyon mein beh jawaan
Teri kheton mein lehrawaan
Itni si hai dil ki aarzu...
Ajj Singh Garjega |
Sanu Kehndi |
Teri Mitti |
Ve Maahi |