Na raha kahin, yaadon ka karvaan
Bik chuka yoohi hone ka har nishan
Kyoon bhooli inhein zamin
Kyoon bhoola ye aasmaan
Na jaane ye kho gaye kahan
Rang khwabon ke jinke khoon se range
Raste naye, junoon se bane
Kyoon bhooli inhein zamin
Kyoon bhoola ye aasmaan
Na jaane ye kho gaye kahan
Sitare bhi jinko na de sake panah
Kahani ye unki jinhein bhoole do jahan
Humne kar diya jinhein dhuaan
Maangna nahin bas dena hai jinki zubaan
Loot kar jinhein humne baandha hai ye sama
Jo bhooli inhein zamin
Jo bhoola ye aasmaan
Na kehlayenge hum insaan
Sitare bhi jinko na de sake panah
Kahani ye unki jinhein bhoole do jahan
Humne kar diya jinhein dhuaan
Sitare bhi jinko na de sake panah
Kahani ye unki jinhein bhoole do jahan
Humne kar diya jinhein dhuaan
Kyoon humne kar diya unhein dhuaan
Kyoon humne kar diya unhein dhuaan
Alvida |
Dama Dam Mast Kalandar |
Dhuaan |
Ek Ghadi |
Murshid Khele Holi |