Sapna jahan, dastak na de
Chokhat thi woh, aankhein meri
Baaton se thi, taadaad mein
Khamoshiyaan, jaana meri
Jab se pade, tere kadam
Chalne lagi, duniya meri
Mere dil mein,
Jagah khuda ki khali thi
Dekha wahan pe,
Aaj tera chehra hai
Main bhatakta hua,
Saa ek badal hoon
Jo tere aasmaan pe aake thehra hai
Tu rooh hai toh main kaaya banu
Ta-umr main tera saaya banu
Kehde toh ban jaaun be-raag main
Kehde toh main teri maaya banu
Tu saaz hai, main raagni
Tu raat hai, main chandni
Mere dil mein,
Jagah khuda ki khali bhi
Dekha wahan pe,
Aaj tera chehra hai
Main bhatakta huya,
Safed badal hoon
Jo tere aasmaan pe aake thehra hai
Hum pe sitaaron ka ehsaan ho
Poora, adhoora har armaan ho
Ek doosre se jo baandhe hamein
Baahon mein nanhi si ek jaan ho
Aabaad ho, chota sa ghar
Lagna sake kisi ki nazar
Mere dil mein,
Jagah khuda ki khali bhi
Dekha wahan pe,
Aaj tera chehra hai
Main bhatakta huya,
Safed badal hoon
Jo tere aasmaan pe aake thehra hai...
Brothers Anthem |
Gaaye Jaa (Female) |
Gaaye Jaa (Male) |
Mera Naam Mary |
Sapna Jahan |