Kya kahu tumhe? Khwab kahu to bikhar jaoge! dil kahu to tut jaoge! lo, tumhara naam zindigi rakh deti hu... to maut se pehle hamara saath na chod paoge
Umar Jalwon Mein Basar Ho, yeh zaroori To Nahi, har Shab-e-gam Ki sahar Ho, yeh zaroori To Nahi, Neend To dard ke bistar pe Bhi Aa sakti Hai, teri Aagosh Mein Sir Ho, yeh zaroori To Nahi
Hamara har lamha chura liya aapne, aankhon ko ik chand dikha diya aapne. Hamein zindagi to di kisi aur ne, par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne.
Kaise kahe ke aap kitni khubsurat hai, Kaise kahe ke hum aap pe marte hai, Yeh to sirf mera dil hi janta hai, Ke hum aap pe hamari jawani qurban karte hai…