Kajal banke teri aankho mein samane ki tamanna hai, Dawa banke tere dard mitane ki tamanna hai, Yun to haasil hai zamane ki har cheez mujhe, Sirf ek baar tujhe Dulhan ke roop mein paane ki tamanna hai....
diwane hai ham tujhe bhi bana denge. dil me tere apni yad ki shama jala denge. raho chahe jitne bhi pathar dil banke aap. par yado se apni tumko bhi rula denge…
Aapse nazrein to mila lein par ye to bataiye ki Aap mein aisa kya dekhein jo dekhte hi deewana banade Badi mushkil se militi hai zindagi sambhal ke rakhiye Kahin is shama ko hum parvana na banade
Unke cahre par iss kadar noor hai, Unki yaad main rona bhi manzoor hai, Bewafa bhi kahe nahi sakte hum unhe, Pyar to humne kiya tha woh to bekasoor hai.
vada utnaa hi karo jitana nibha sakte ho Khwaab pura jo na ho woh na dikhana mujh ko apne rishte ki nazaakat ka bharam rakh lena main to aashiq hoon dewaana na bana mujh ko....