Aaj Mein Nein Khud Se Ye Wada Kiya Hai,Maafi Mangoon Gha Uss Sey Jisko Ruswa Kiya Hai,Har Mord Par Hee Hon Gha Mein Uss K Sath Sath,Maloom Hai K Mein Nein Usko Kitna Juda Kiya Hai
Ishq karnewale aankho ki baat samajh lete hai, sapno me wo mil jaye to mulakat samajh lete hai, rota to aasmaan bhi hai pyaar ke liye par log use barsaat samajh lete hai....!!!!
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.
meri kisi khata pe naraj na hona. apni pyari c muskan kabi na khona. sukoon milta hai sunn kar apki hansi ko, haste rehna zindgi me kbi udaas na hona…….
Is kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye, Kyu ho khafa ye bayan to kijiye, Kar dijiye maaf agar ho gayi hai koi khata, Yu yaad na kar ke saza to na dijiye
Kisi khas ko nazar andaj kiya nai jata jinhe bhul nai sakte unhe yad kiya nai jata. Ye yaden to sahil hai un lamho ka jin lamho ko dobara jiya nai jata..
Dil ki batein aakhon se kahi jati hai,Bol dhadkan se sune jate hai,Aap toh nadan hai jo saaf sunna chahte hai,ishq ke jazbat toh sirf mehsoos kiye jate hai.