Bahut taras kar nigahein jab nam ho gayi,Jugnu nachte rahe chamak kam hogayi,Kisi ko dekh lene ki tamana ne kiya pagal,Utar kar galon par shabnam sanam ho gayi
Jo hadse na guzar jaye wo pyar hi kya, Jo pyar karne pe majboor na karde wo ikraar hi kya, Intezar to sab karte hai..... Saanse tootne tak jo saath na de wo yaar hi kya!
labo pe geat to aankho mei khwab rakhte the.. kabhi kitabo mei hum bhi gulaab rakhte the .. kabhi kisi ka jo hota tha intezar humei.. bada hi sham o sehar ka hisaab rakhte the...
Dekho aawaz dekar, paas hamme paoge, aaoge tanha par tanha na jaoge, dur rahkar bhi tumhi par hai nazar meri, hathon se tham lenge jab bhi thokar khaoge
Talaash karoge toh koi mil hi jayega,magar hamari tarah rishta kaun nibhayega,mana ki kam nehi hain ashiq apke,magar kya humari jagah kisi aur ko de payoge
Main uski shakal ko dil se utar deti hoon…..kabhi kabhi tu main khud ko bhi mar deti hoon…..ye mera haq hai mai use dukh bhi doon….main chaht bhi tu use beshumar deti hoon.