Tere khayal se jee churaon kaise, ek aag dil me lagi hai bujhaon kaise, meri har saans teri yaad se wabasta hai, phir to hi bata tujhe bhool jaon kaisy
Shama kehti hai Mujhe banaya kisne,jis jis ke Haath lagi mujhe jalaya usne,wo shama kya jise koi jalane wala na ho,wo insan hi kya jise koi Chahne wala na ho
Tamanna hai khushion ki bahar mile aapko, jo dil chahe wo baar - baar mile aapko, sab aksar pa kar kho dete hain, magar kabhi na khone wala pyaar mile aapko.