Mere Aaneki Aahat pe shayad shama jalayi hogi Kabhi Judai ke Gamse Aankhe bhar aayi hogi Fikar na kar meri jaan Us rabne milneki koi na koi sham to banayi hogi
Kyon kisi se itna pyar ho jata hai, pal bhar ka intezar bhi dushwar ho jata hai, lagne lagte hai apne bhi paraye, aur ek ajnabi pe aitebaar ho jata hai.
Jaan chali jayegi hamari itna pyar na kariye,Pyaar me bechain hame mere yaar na kariye,Kasam hai aapko na rulaiye hame apni yaad me,Apni betabi ka izhaar baar baar na kariye.
Aankhon me rahe dil me utarkar nahi dekha, kashti ke musafir ne samundar nahi dekha, patthar mujhe wo samajhte hai, mai mom hun, usne mujhe chhukar nahi dekha.
Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahin, lekin ye mat samajhna ki hamein kisi se pyar nahin, kismat ne sab kuchh diya hamen, sirf diya hamara woh yaar nahin.