Ehsaan kiya usne mujhe pyar sikha kar..hoti hai chahat kya ye mujhe samjha kar..Qurbani hai pyar ka asli matlab..chhod diya sath mera bas itna bata kar.
Ab ke sawan mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
Zikar unka hi aata hai mere fasane mein,jinko jaan se zyada chaha hmne zmane mein. Tanhayi mein unki hi yaad ka sahara mila,nakamyaab rhe jinhe hum bhulane mein
Sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar,Kyon yeh kinaro se takra kar palat jati hain, Karti hain vo kinare se bewafai ya fir sagar se wafa nibhati hain.............?